Durood E Ibrahimi درود ابراہیمی

Durood E Ibrahimi jo Namaz mein padha jata hai, yeh durood sab durood ke siagon se afzal hai. Is liye is durood ko namaz ke alawa kathrat se padhna deeni aur duniyavi fuyooz o barkat hasil karne ka behtareen zariya hai, aur Allah ki rahmat aur khushnoodi hasil hoti hai. Duniya ke tamam kaamon mein aasani paida ho jati hai aur qadam qadam par Allah ki madad shamil haal rahti hai. Hajat puri ho jati hai. Hazoor Muhammad ﷺ ki shafa'at wajib ho jati hai. Rizq ki tangi door ho jati hai. Maal aur asbaab mein barkat paida hoti hai. Khatima balyiman hota hai. Is ke alawa akhirat ki zindagi se mutalliq tamam manazil aasan ho jati hain. Aur is durood-e-pak ko mamool se padhne wala Jannat mein jayega. Insha'Allah.

اللہ پاک نے نماز کے لیے جس درود پاک کو خاص کر دیا ہے وہ درود ابراہیمی ہے ۔ یہ درود تمام درود کے صیغوں سے افضل ہے ۔ اس لیے اس درود پاک کو نماز کے علاوہ کثرت سے پڑھنا دینی و دنیاوی فیوض و برکات حاصل کرنے کا بہترین ذریعہ ہے اور اللہ کی رحمت و خوشنودی حاصل ہوتی ہے ۔ دنیا کے تمام کاموں میں آسانی پیدا ہوتی ہے اور قدم قدم پر اللہ کی مدد شامل حال رہتی ہے ۔ حاجات پوری ہوتی ہے ۔ سرکار دو عالم حضور پاک محمد ﷺ کی شفاعت واجب ہو جاتی ہے ۔ رزق کی تنگی دور ہوتی ہے ۔ مال و اسباب میں برکت پیدا ہوتی ہے ۔ خاتمہ بالایمان ہوتا ہے ۔ اس کے علاوہ آخرت کی زندگی سے متعلقہ تمام منازل آسان ہو جاتی ہے ۔ اور اس درود پاک کو معمول سے پڑھنے والا جنت میں جائے گا ۔ انشاء اللہ

Durood Shareef Kya Hai :

Ye Ek Khas Dua Hai Jisme Ham Allah Paak Se Dua Karte Hain Ki Ya Allah Apne Habeeb ﷺ Par Apni Khas Rehmaten, Barkaten, Durood-O-Salam Nazil Farma. Aur Unki Paak Aaal Par Aur Unke Sahabah E Kiram Par Tamam Tareh Ki Rehmat aur Barkaten Bhej. Zahir Si Baat Hai Ki Ye Ek Dua hai To iske Alag Alag Andaz aur Format Ho Sakte Hain Isliye Bahot Sare Alag Alag Type aur Format Ke Durood Sharif Hame Dekhen Ko Milte Hain. Aur Har Ek Durood Sahrif Ke Fayde Bhi Alag Alag Hain Lekin Jo Common Fayde Hain Unka Bayan Ham Is Video Message Mein Karenge.. In Sha Allah

Durood E Ibrahimi Padhne Ke Fayde :

Alhamdulillah, Durood E Ibrahimi Padhne Ke Fazail Bepanah Hain Lekin Sabse Bada Fayda to Ye Hai Ki Durood o Salam Padhne Wala Rasool-E-Akram, Noor-E-Mujassam, Sarwar-E-Qaynaat Jaan-E-Aalam, Nabi-E-Paak ﷺ Ka Mehboob Ghulam Ban Jata Hai Aur Use Deen o Dunia Mein Kisi Cheej Ki Kami ya Hazat Nahi Rehti Aur Wo Sukoon E Qalb Ke Daulat Se Maalamaal Ho jata Hai. Alhamdulillah

Tarjuma Durood E Ibrahimi :

Aye Allah, rehmat nazil farma Hazrat Muhammad ﷺ par aur unki aal par, jis tarah tune rahmat farmai Ibrahim عليه السلام par aur unki aal par. Beshak tu ta'arif ke laiq aur badi buzurgi, azmat wala hai. Ae Allah, barkat nazil farma Hazrat Muhammad ﷺ par aur unki aal par, jis tarah tune barkat farmai Ibrahim عليه السلام par aur unki aal par. Beshak tu ta'arif ke laiq aur badi buzurgi, azmat wala hai.

اے اللہ رحمت نازل فرما حضرت محمد ﷺ پر اور انکی آل پر جس طرح تونے رحمت فرمائ ابراہیم عليه السلام پر اور انکی آل پر بیشک تو تعریف کے لائق اور بڑی بزرگی عظمت والا ہے۔

اے اللہ برکت نازل فرما حضرت محمد ﷺ پر اور انکی آل پر جس طرح تونے برکت فرمائ ابراہیم عليه السلام پر اور انکی آل پر بیشک تو تعریف کے لائق اور بڑی بزرگی عظمت والا ہے۔

Durood E Ibrahimi درود ابراہیمی
 

Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasool Allah ﷺ

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ ﷺ