Durood E Khizri درود خضری

About Durood E Khizri :

Durood E Khizri, be-panah fuyooz o barkat ka manba hai, aur yeh ishqan-e-Rasool Akram ﷺ ka mahboob wazifah hai. Be shumar Sufiya aur Awliya ne yeh durood pak khud padha aur apne silsila tareeqat mein apne iradatmandon ko padhne ki talqeen ki. Is durood pak mein padhne wale ko Sahib-e-Kashf banane ki khasoosiyat bahut numayaan hai, isliye agar koi shakhs Sahib-e-Kashf banna chahe to use chahiye ke is durood pak ko rozana sau martaba padhe aur teen saal tak yehi mamool jari rakhe. Insha'Allah, is arse mein Sahib-e-Kashf ban jayega, aur agar woh is silsile ko tahiyat jari rakhe to woh Sahib-e-Rohaniyat ban jayega. Kyunki durood safaai-e-qalb ke liye intehai aksir ka darja rakhta hai, is liye jo shakhs is durood pak ko rozana kam az kam 11 martaba padhta hai, uska dil gunahon se paak ho jata hai aur ek raaste par gamzan ho jata hai. Iske alawa, agar koi shakhs Rasool Akram ﷺ ki ziyarat ka khwahishmand hai to woh ise Shab-e-Jumma mein 170 martaba padhe aur 40 Jumme tak yahi amal jari rakhe, Insha'Allah ziyarat se mashhoor hoga.

Durood Shareef Kya Hai :

Ye Ek Khas Dua Hai Jisme Ham Allah Paak Se Dua Karte Hain Ki Ya Allah Apne Habeeb ﷺ Par Apni Khas Rehmaten, Barkaten, Durood-O-Salam Nazil Farma. Aur Unki Paak Aaal Par Aur Unke Sahabah E Kiram Par Tamam Tareh Ki Rehmat aur Barkaten Bhej.  Zahir Si Baat Hai Ki Ye Ek Dua hai To iske Alag Alag Andaz aur Format Ho Sakte Hain Isliye Bahot Sare Alag Alag Type aur Format Ke Durood Sharif Hame Dekhen Ko Milte Hain. Aur Har Ek Durood Sahrif Ke Fayde Bhi Alag Alag Hain Lekin Jo Common Fayde Hain Unka Bayan Ham Is Video Message Mein Karenge.. In Sha Allah

Durood E Khizri Padhne Ke Fayde :

Alhamdulillah, Durood E Khizri Padhne Ke Fazail Bepanah Hain Lekin Sabse Bada Fayda to Ye Hai Ki Durood o Salam Padhne Wala Rasool-E-Akram, Noor-E-Mujassam, Sarwar-E-Qaynaat Jaan-E-Aalam, Nabi-E-Paak ﷺ Ka Mehboob Ghulam Ban Jata Hai Aur Use Deen o Dunia Mein Kisi Cheej Ki Kami ya Hazat Nahi Rehti Aur Wo Sukoon E Qalb Ke Daulat Se Maalamaal Ho jata Hai. Alhamdulillah

Tarjuma Durood E Khizri :

Aye Allah, hamare Aqa aur Maula, Hazrat Muhammad ﷺ par rehmat nazil farma, jo Sahib-e-Khizri, Mairaj, Baraq, aur Ilm wale hain. Jinke wasile se bala, waba, qahat, marz, aur dukh door hota hai. Aapka naam naami likha gaya, buland kiya gaya, qubool kiya gaya, aur loh o qalam mein khooda hua hai. Aap Arab o Ajam ke sardar hain.

یہ درود اولیاءاللّٰہ کے اکثر معمول میں رہا ہے_ بے شمار اولیاء نے اسے پڑھا ہے خاص کر حضرت میاں شیر محمد شر قپوری رح عارف کامل کے بارے میں بیان کیا جاتا ہے کہ آپ یہ درود کثرت سے پڑھا کرتے تھے اور اپنے مریدین کو بھی یہی درود پڑھنے کی تلقین فرمایا کرتے تھے کیونکہ یہ درود الفاظ کے لحاظ سے مختصر ہے مگر معنی کے لحاظ سے جامع ہے اس درود پاک کے فوائد بے پناہ ہیں_سب سے بڑا فائدہ یہ ہے اس درود کو پڑھنے والا حضور صلی اللّٰہ علیہ وسلم کا محبوب غلام بن جاتا ہے اور دین ودنیا میں اسے کسی کی کمی نہیں رہتی اور سکون قلب کی دولت سے مالامال ہو جاتا ہے بزرگانِ چورہ شریف حضرت بابا فقیرمحمد چوراہی اور ان کے سجادہ نشین حضرات کے معمول میں یہی درود کثرت سے پڑھاجاتاہے

Durood E Khizri درود خضری
 

Assalatu Wassalamu Alaika Ya Rasool Allah ﷺ

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ ﷺ